āñsuoñ se ḳhuun ke ajzā badalte jā.eñge
dil ke sab armān āñkhoñ se nikalte jā.eñge
ik qayāmat hai ibārat vāda-e-dīdār kī
din guzarte jā.eñge maanī badalte jā.eñge
har nafas hai shamma-e-ġham kā sholā maiñ jo kuchh kahūñ
misl-e-parvānā mere alfāz jalte jā.eñge
hai digar-gūñ hāl-e-dil qāsid hameñ bhī saath le
jā-ba-jā ḳhat kī ibārat ham badalte jā.eñge
ishq kī vaadī meñ 'nātiq' gir ke marnā hai zarūr
har qadam pe kab tak āḳhir ham sambhalte jā.eñge
aansuon se KHun ke ajza badalte jaenge
dil ke sab arman aankhon se nikalte jaenge
ek qayamat hai ibarat wada-e-didar ki
din guzarte jaenge mani badalte jaenge
har nafas hai shamma-e-gham ka shola main jo kuchh kahun
misl-e-parwana mere alfaz jalte jaenge
hai digar-gun haal-e-dil qasid hamein bhi sath le
ja-ba-ja KHat ki ibarat hum badalte jaenge
ishq ki wadi mein 'natiq' gir ke marna hai zarur
har qadam pe kab tak aaKHir hum sambhalte jaenge
aansuon se KHun ke ajza badalte jaenge
Nomaan Shauque
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.