aansu aahen ranj-o-alam hain aur kya hai jagir meri
aansu aahen ranj-o-alam hain aur kya hai jagir meri
Jameel Ahmad Jameel
MORE BYJameel Ahmad Jameel
aañsū aaheñ ranj-o-alam haiñ aur kyā hai jāgīr mirī
hañsnā kyā hai maiñ kyā jānūñ ronā hai taqdīr mirī
tum ko merā chehra miltā jalte bujhte lafzoñ meñ
yaad tumheñ bhī sab aa jaatā paḌh lete tahrīr mirī
kis ko ḳhabar kab nīm-shabī se sūraj koī ug aa.e
tum ne chhupā kar rakh to lī hai takiye meñ tasvīr mirī
ab mānūs-e-qaid-e-qafas huuñ qaid meñ yuuñ hī rahne de
āvāra dar-dar bhaTkūñgā kaaT na yuuñ zanjīr mirī
un ko bulānā is mahfil meñ kaam to mushkil thā hī 'jamīl'
vo aa.e to maiñ ne jaanā kaam aa.ī tadbīr mirī
aansu aahen ranj-o-alam hain aur kya hai jagir meri
hansna kya hai main kya jaanun rona hai taqdir meri
tum ko mera chehra milta jalte bujhte lafzon mein
yaad tumhein bhi sab aa jata paDh lete tahrir meri
kis ko KHabar kab nim-shabi se suraj koi ug aae
tum ne chhupa kar rakh to li hai takiye mein taswir meri
ab manus-e-qaid-e-qafas hun qaid mein yun hi rahne de
aawara dar-dar bhaTkunga kaT na yun zanjir meri
un ko bulana is mahfil mein kaam to mushkil tha hi 'jamil'
wo aae to main ne jaana kaam aai tadbir meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.