aansu apni chashm-e-tar se niklen to
aañsū apnī chashm-e-tar se nikleñ to
tāza-dam ho jaa.eñ ghar se nikleñ to
bīmāroñ ko thoḌā sā ārām mile
bāhar dast-e-chāra-gar se nikleñ to
sachchā.ī se parda bhī haT saktā hai
aḳhbāroñ meñ chhapī ḳhabar se nikleñ to
nā-mumkin hai vāpas lauTeñ ḳhālī haath
chāñd pakaḌne lekin ghar se nikleñ to
manzar meñ kirdār hamārā bhī aa jaa.e
shart hai pahle pas-manzar se nikleñ to
aansu apni chashm-e-tar se niklen to
taza-dam ho jaen ghar se niklen to
bimaron ko thoDa sa aaram mile
bahar dast-e-chaara-gar se niklen to
sachchai se parda bhi haT sakta hai
aKHbaron mein chhapi KHabar se niklen to
na-mumkin hai wapas lauTen KHali hath
chand pakaDne lekin ghar se niklen to
manzar mein kirdar hamara bhi aa jae
shart hai pahle pas-manzar se niklen to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.