aansu jo teri yaad mein palkon se Dhale hain
aañsū jo tirī yaad meñ palkoñ se Dhale haiñ
ujḌī huī rātoñ kī muñDeroñ pe jale haiñ
ham ne kabhī dekhā nahīñ sāhil kā tamāsha
ham log jo tūfān ke saa.e meñ pale haiñ
ye zaḳhm kisī ḳhaar se ham ne nahīñ paa.e
ye daaġh hameñ phuul kī ḳhushbū se mile haiñ
siine se dabā.e hue ik dard kā 'naġhma'
ham shahr-e-nigārāñ se bahut duur chale haiñ
aansu jo teri yaad mein palkon se Dhale hain
ujDi hui raaton ki munDeron pe jale hain
hum ne kabhi dekha nahin sahil ka tamasha
hum log jo tufan ke sae mein pale hain
ye zaKHm kisi KHar se hum ne nahin pae
ye dagh hamein phul ki KHushbu se mile hain
sine se dabae hue ek dard ka 'naghma'
hum shahr-e-nigaran se bahut dur chale hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.