aansu ko apne dida-e-tar se nikalna
aañsū ko apne dīda-e-tar se nikālnā
lagtā hai mehmān ko ghar se nikālnā
sūkhe hue shajar meñ lahhū to nahiñ hai ḳhushk
koñpal koī numū kī shajar se nikālnā
is yaḳh-zada fazā meñ gar uḌne kā qasd hai
be-his rutoñ kī barf ko par se nikālnā
jis sub.h ke jilau meñ shaboñ kā hujūm ho
kirnoñ ko aise dām-e-sahar se nikālnā
jis se shab-e-hayāt kā sannāTā TuuT jaa.e
āvāz aisī sāz-e-hunar se nikālnā
sab kā nahīñ ye ahl-e-basīrat kā kaam hai
gahrī ḳhabar bhī sat.hī ḳhabar se nikālnā
rasta kaThin ho laakh na honā 'hazīñ' malūl
pahlū ḳhushī kā ranj-e-safar se nikālnā
aansu ko apne dida-e-tar se nikalna
lagta hai mehman ko ghar se nikalna
sukhe hue shajar mein lahhu to nahin hai KHushk
konpal koi numu ki shajar se nikalna
is yaKH-zada faza mein gar uDne ka qasd hai
be-his ruton ki barf ko par se nikalna
jis subh ke jilau mein shabon ka hujum ho
kirnon ko aise dam-e-sahar se nikalna
jis se shab-e-hayat ka sannaTa TuT jae
aawaz aisi saz-e-hunar se nikalna
sab ka nahin ye ahl-e-basirat ka kaam hai
gahri KHabar bhi sathi KHabar se nikalna
rasta kaThin ho lakh na hona 'hazin' malul
pahlu KHushi ka ranj-e-safar se nikalna
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 434)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.