aansu ko gul nab samajh kar nur ujala karte the
aañsū ko gul naab samajh kar nuur ujālā karte the
raat kī raat meñ do tāroñ kā chāñd banāyā karte the
gahre bhañvar us kī āñkhoñ kā paanī bharte rahte the
us kā lams churā kar dariyā mauj meñ aaya karte the
sar par chhatnārī rūhoñ ke taaj bhaḌakte rahte the
sabz ujāle bhar kar sīnoñ ko phailāyā karte the
chāñd uThā kar le jaate the dil kī rupahlī kashtī meñ
pichhle pahar kī sardābī se aañkh ko taaza karte the
niil musaffā āñkhoñ se takte the jism kī chāñdnī ko
phulvārī pe nuur kī parde kāñch ke taanā karte the
aansu ko gul nab samajh kar nur ujala karte the
raat ki raat mein do taron ka chand banaya karte the
gahre bhanwar us ki aankhon ka pani bharte rahte the
us ka lams chura kar dariya mauj mein aaya karte the
sar par chhatnari ruhon ke taj bhaDakte rahte the
sabz ujale bhar kar sinon ko phailaya karte the
chand uTha kar le jate the dil ki rupahli kashti mein
pichhle pahar ki sardabi se aankh ko taza karte the
nil musaffa aankhon se takte the jism ki chandni ko
phulwari pe nur ki parde kanch ke tana karte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.