aañsū sho.aloñ meñ Dhal rahe haiñ
ġham dil kī fazā badal rahe haiñ
gulshan hai unhīñ kā gul unhīñ ke
kāñToñ pe jo hañs ke chal rahe haiñ
ek ek nafas meñ raushnī hai
yādoñ ke charāġh jal rahe haiñ
chup chup sī hai talḳhī-e-zamāna
ġham jām-o-subū meñ Dhal rahe haiñ
miT miT ke ubhar rahī hai duniyā
bujh bujh ke charāġh jal rahe haiñ
allāh re etibār-e-hastī
ham ḳhvāb meñ jaise chal rahe haiñ
is samt bhī gardish-e-zamāna
kuchh log abhī sambhal rahe haiñ
sāhil pe unhīñ kā haq hai 'shā.ir'
tūfāñ kā jo ruḳh badal rahe haiñ
aansu shoalon mein Dhal rahe hain
gham dil ki faza badal rahe hain
gulshan hai unhin ka gul unhin ke
kanTon pe jo hans ke chal rahe hain
ek ek nafas mein raushni hai
yaadon ke charagh jal rahe hain
chup chup si hai talKHi-e-zamana
gham jam-o-subu mein Dhal rahe hain
miT miT ke ubhar rahi hai duniya
bujh bujh ke charagh jal rahe hain
allah re etibar-e-hasti
hum KHwab mein jaise chal rahe hain
is samt bhi gardish-e-zamana
kuchh log abhi sambhal rahe hain
sahil pe unhin ka haq hai 'shair'
tufan ka jo ruKH badal rahe hain
Source :
- Book : Nuquush Lahore (Pg. 366)
- Author : Mohd Tufail
-
Publication : Idara Farog-e-urdu, Lahore
(Feb.1956 )
- Edition : Feb.1956
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.