aansuon ke diye raat bhar
āñsuoñ ke diye raat bhar
jagmagāte rahe raat bhar
qatra-qatra Tapaktā rahā
dil meñ nashtar chubhe raat bhar
saañs Dhaltī ga.ī dard meñ
dard ke zaḳhm uge raat bhar
ruuh meñ zahr ghultā gayā
jaañ ke laale paḌe raat bhar
reza reza ummīdeñ tamām
ḳhvāb bikhrā kiye raat bhar
pyaar kī ātishīñ shāḳh se
sabz patte gire raat bhar
aansuon ke diye raat bhar
jagmagate rahe raat bhar
qatra-qatra Tapakta raha
dil mein nashtar chubhe raat bhar
sans Dhalti gai dard mein
dard ke zaKHm uge raat bhar
ruh mein zahr ghulta gaya
jaan ke lale paDe raat bhar
reza reza ummiden tamam
KHwab bikhra kiye raat bhar
pyar ki aatishin shaKH se
sabz patte gire raat bhar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.