aansuon ke sail mein yun putliyan chalne lagin
āñsuoñ ke sail meñ yuuñ putliyāñ chalne lagīñ
jaise āñkhoñ kī nadī meñ kashtiyāñ chalne lagīñ
un se mil kar dil ko mere aaj kuchh aisā lagā
jism ke phūloñ pe jaise titliyāñ chalne lagīñ
merī āñkhoñ kā har ik manzar hai yuuñ ḳhāna-ba-dosh
shab ke sannāTe meñ jaise bastiyāñ chalne lagīñ
chhin ga.e sab ḳhvāb mere niiñd kī āġhosh se
jab lagā mujh ko ki ghar kī khiḌkiyāñ chalne lagīñ
un kī zulfoñ kī ghaTā.eñ ghir ke aa.iiñ aur bas
ḳhāna-e-dil meñ hamāre bijliyāñ chalne lagīñ
ḳhvāb meñ dekhā hai maiñ ne aaj phir kal kī tarah
dasht kī sūkhī nadī meñ machhliyāñ chalne lagīñ
jism ko mere muqayyad kar liyā zālim ne jab
mere zehn-e-be-rasā meñ beḌiyāñ chalne lagīñ
apne kānoñ par yaqīñ aaya mujhe kal raat ko
jab havā ke dosh par se sīTiyāñ chalne lagīñ
aansuon ke sail mein yun putliyan chalne lagin
jaise aankhon ki nadi mein kashtiyan chalne lagin
un se mil kar dil ko mere aaj kuchh aisa laga
jism ke phulon pe jaise titliyan chalne lagin
meri aankhon ka har ek manzar hai yun KHana-ba-dosh
shab ke sannaTe mein jaise bastiyan chalne lagin
chhin gae sab KHwab mere nind ki aaghosh se
jab laga mujh ko ki ghar ki khiDkiyan chalne lagin
un ki zulfon ki ghaTaen ghir ke aain aur bas
KHana-e-dil mein hamare bijliyan chalne lagin
KHwab mein dekha hai main ne aaj phir kal ki tarah
dasht ki sukhi nadi mein machhliyan chalne lagin
jism ko mere muqayyad kar liya zalim ne jab
mere zehn-e-be-rasa mein beDiyan chalne lagin
apne kanon par yaqin aaya mujhe kal raat ko
jab hawa ke dosh par se siTiyan chalne lagin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.