aansuon ko apni palkon par saja kar le gaya
aansuon ko apni palkon par saja kar le gaya
Vijendra Singh Parwaz
MORE BYVijendra Singh Parwaz
āñsuoñ ko apnī palkoñ par sajā kar le gayā
maiñ bhī us mahfil meñ kuchh sham.eñ jalā kar le gayā
ek ek chehre se jo nazreñ bachā kar le gayā
vo bhī kis andāz ke jalve churā kar le gayā
jism merā hai magar maiñ jism meñ huuñ hī nahīñ
ek jhoñkā yaad kā aisā uḌā kar le gayā
aa.ine ke sāmne ik aa.ina lagtā huuñ maiñ
jaane vaalā merī sūrat tak churā kar le gayā
mere dil meñ jazb ho kar rah gayā terā vajūd
tū jise hāsil vo parchhā.ī uThā kar le gayā
kuchh na pūchho tum mirī taḳh.īl kī 'parvāz' ko
bhiiḌ meñ bhī bhiiḌ se dāman bachā kar le gayā
aansuon ko apni palkon par saja kar le gaya
main bhi us mahfil mein kuchh shamen jala kar le gaya
ek ek chehre se jo nazren bacha kar le gaya
wo bhi kis andaz ke jalwe chura kar le gaya
jism mera hai magar main jism mein hun hi nahin
ek jhonka yaad ka aisa uDa kar le gaya
aaine ke samne ek aaina lagta hun main
jaane wala meri surat tak chura kar le gaya
mere dil mein jazb ho kar rah gaya tera wajud
tu jise hasil wo parchhai uTha kar le gaya
kuchh na puchho tum meri taKHil ki 'parwaz' ko
bhiD mein bhi bhiD se daman bacha kar le gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.