aansuon mein ajab rawani hai
āñsūoñ meñ ajab ravānī hai
sho.ala-e-ġham bhī paanī paanī hai
un ko mujh se jo bad-gumānī hai
hādisa koī nā-gahānī hai
mast āñkhoñ ko dekhtā huuñ maiñ
sāmne jām-e-arġhavānī hai
husn aur ishq kā tazād na pūchh
ik haqīqat hai ik kahānī hai
ġhuncha-e-gul ye kyoñ fasurda haiñ
kis kī gulshan meñ pāsbānī hai
tum bhī samjhā ke dekh lo sāhib
ishq ne kis kī baat maanī hai
tum na aanā fareb meñ 'zākir'
ik tilism-e-nazar javānī hai
aansuon mein ajab rawani hai
shoala-e-gham bhi pani pani hai
un ko mujh se jo bad-gumani hai
hadisa koi na-gahani hai
mast aankhon ko dekhta hun main
samne jam-e-arghawani hai
husn aur ishq ka tazad na puchh
ek haqiqat hai ek kahani hai
ghuncha-e-gul ye kyon fasurda hain
kis ki gulshan mein pasbani hai
tum bhi samjha ke dekh lo sahib
ishq ne kis ki baat mani hai
tum na aana fareb mein 'zakir'
ek tilism-e-nazar jawani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.