Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aansuon se hai libas apna ye tar dekh liya

Faraz Hasanpuri

aansuon se hai libas apna ye tar dekh liya

Faraz Hasanpuri

MORE BYFaraz Hasanpuri

    āñsuoñ se hai libās apnā ye tar dekh liyā

    kaisā hotā hai mohabbat safar dekh liyā

    tum bhī un ke divānoñ meñ gine jāoge

    un sūrat ko agar ek nazar dekh liyā

    muflisī terī 'ināyat hai ye terā hai karam

    jo na dekhā thā kabhī aaj vo dar dekh liyā

    ham kahīñ aur bhī dil apnā lagā lete magar

    koī tum na milā saarā nagar dekh liyā

    raah mushkil thī par āsān huī jaatī thī

    maiñ ne maañ terī du'āoñ asar dekh liyā

    merī tasvīr ko siine se lagāte ho tum

    socho kyā hogā zamāne ne agar dekh liyā

    dostī mirī anjām na jaane kyā ho

    aaj us ne mirā TuuTā huā ghar dekh liyā

    ġhair naam hathelī pe likhā hai terī

    maiñ nahīñ huuñ tirā manzūr-e-nazar dekh liyā

    hāl-e-bad meñ bhī 'farāz' us ne na pūchhā ham ko

    kitnī rakhtā hai hamārī vo ḳhabar dekh liyā

    aansuon se hai libas apna ye tar dekh liya

    kaisa hota hai mohabbat ka safar dekh liya

    tum bhi un ke hi diwanon mein gine jaoge

    un ki surat ko agar ek nazar dekh liya

    muflisi teri 'inayat hai ye tera hai karam

    jo na dekha tha kabhi aaj wo dar dekh liya

    hum kahin aur bhi dil apna laga lete magar

    koi tum sa na mila sara nagar dekh liya

    rah mushkil thi par aasan hui jati thi

    main ne man teri du'aon ka asar dekh liya

    meri taswir ko sine se lagate ho tum

    socho kya hoga zamane ne agar dekh liya

    dosti ka meri anjam na jaane kya ho

    aaj us ne mera TuTa hua ghar dekh liya

    ghair ka nam hatheli pe likha hai teri

    main nahin hun tera manzur-e-nazar dekh liya

    haal-e-bad mein bhi 'faraaz' us ne na puchha hum ko

    kitni rakhta hai hamari wo KHabar dekh liya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now