aansuon siskiyon mein aahon mein
āñsuoñ siskiyoñ meñ aahoñ meñ
ḳhvāb dafnā diye nigāhoñ meñ
un ko kyā dushmanoñ kā Dar hogā
aap hoñ jin ke ḳhair-ḳhvāhoñ meñ
ham tahī-dast haar kar tujh ko
ab ġhulāmoñ meñ haiñ na shāhoñ meñ
thak ga.e ziist kī aziyyat se
aa ga.e 'ishq kī panāhoñ meñ
āj-kal kuchh zavāl hai varna
yuuñ izāfa na kar gunāhoñ meñ
chand lamhe sukūn de mujh ko
kitnī lazzat hai terī bāhoñ meñ
tere aane kī jab milegī ḳhabar
ham to maare ga.e haiñ chāhoñ meñ
aansuon siskiyon mein aahon mein
KHwab dafna diye nigahon mein
un ko kya dushmanon ka Dar hoga
aap hon jin ke KHair-KHwahon mein
hum tahi-dast haar kar tujh ko
ab ghulamon mein hain na shahon mein
thak gae zist ki aziyyat se
aa gae 'ishq ki panahon mein
aaj-kal kuchh zawal hai warna
yun izafa na kar gunahon mein
chand lamhe sukun de mujh ko
kitni lazzat hai teri bahon mein
tere aane ki jab milegi KHabar
hum to mare gae hain chahon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.