aao dekho yahin hai darwaza
aao dekho yahīñ hai darvāza
the jahāñ ham vahīñ haiñ darvāza
lauTtā huuñ na ghar ko jab tak maiñ
band hotā nahīñ hai darvāza
āj-kal kyoñ hameñ tire ghar kā
yaad aatā nahīñ hai darvāza
dekh paate haiñ kab koī sūrat
aa.ina to nahīñ hai darvāza
zindagī ke qarīb jaane kā
sun rahā huuñ kahīñ hai darvāza
aao dekho yahin hai darwaza
the jahan hum wahin hain darwaza
lauTta hun na ghar ko jab tak main
band hota nahin hai darwaza
aaj-kal kyon hamein tere ghar ka
yaad aata nahin hai darwaza
dekh pate hain kab koi surat
aaina to nahin hai darwaza
zindagi ke qarib jaane ka
sun raha hun kahin hai darwaza
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.