aao hum tai karen qarar koi
aao ham tai kareñ qarār koī
us meñ rakkheñ rah-e-farār koī
gar mohabbat pe iḳhtiyār chale
kyoñ kare ḳhud ko be-qarār koī
har qadam par gumān hotā hai
phir pukāre hai baar baar koī
kā.enāteñ khañgāl Daalī haiñ
ho na paayā hai āshkār koī
aañkh ik pal nahīñ lagā.ī kahīñ
yuuñ bhī kartā hai intizār koī
aao hum tai karen qarar koi
us mein rakkhen rah-e-farar koi
gar mohabbat pe iKHtiyar chale
kyon kare KHud ko be-qarar koi
har qadam par guman hota hai
phir pukare hai bar bar koi
kaenaten khangal Dali hain
ho na paya hai aashkar koi
aankh ek pal nahin lagai kahin
yun bhi karta hai intizar koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.