aao jo TuTe hue KHwab hain taqsim karen
aao jo TuuTe hue ḳhvāb haiñ taqsīm kareñ
jis kī qismat meñ jo girdāb haiñ taqsīm kareñ
tum mire naam pe jī lenā maiñ tum par mar kar
jiine marne ke jo ādāb haiñ taqsīm kareñ
ḳhushk āñkhoñ meñ jo murjhā ga.e un kī kaliyāñ
aas ke phuul jo shādāb haiñ taqsīm kareñ
vo nigāheñ bhī jo namnāk thiiñ vaqt-e-ruḳhsat
muntazir aur jo be-āb haiñ taqsīm kareñ
dast-e-hālāt pe maktūb sajā kar saare
ahd-e-māzī ke hasīñ baab haiñ taqsīm kareñ
aao jo TuTe hue KHwab hain taqsim karen
jis ki qismat mein jo girdab hain taqsim karen
tum mere nam pe ji lena main tum par mar kar
jine marne ke jo aadab hain taqsim karen
KHushk aankhon mein jo murjha gae un ki kaliyan
aas ke phul jo shadab hain taqsim karen
wo nigahen bhi jo namnak thin waqt-e-ruKHsat
muntazir aur jo be-ab hain taqsim karen
dast-e-haalat pe maktub saja kar sare
ahd-e-mazi ke hasin bab hain taqsim karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.