aao mil baiTh baat ki jae
aao mil baiTh baat kī jaa.e
mas.ala hai to raa.e lī jaa.e
merā dil phir dukhā diyā us ne
ik ġhazal phir na.ī kahīñ jaa.e
aa gayā tū to khil uThā huuñ maiñ
tere jaane se har ḳhushī jaa.e
aisī duniyā meñ jī nahīñ lagtā
jis meñ ehsās-e-bandagī jaa.e
us ke lahje meñ jab vafā hī nahīñ
kyā zarūrī hai baat kī jaa.e
maut aa.egī jab bhī chal deñge
zindagī ab to ḳhuub jī jaa.e
us ko dekhūñ na jab bhī maiñ 'kāshif'
merī āñkhoñ se raushnī jaa.e
aao mil baiTh baat ki jae
masala hai to rae li jae
mera dil phir dukha diya us ne
ek ghazal phir nai kahin jae
aa gaya tu to khil uTha hun main
tere jaane se har KHushi jae
aisi duniya mein ji nahin lagta
jis mein ehsas-e-bandagi jae
us ke lahje mein jab wafa hi nahin
kya zaruri hai baat ki jae
maut aaegi jab bhi chal denge
zindagi ab to KHub ji jae
us ko dekhun na jab bhi main 'kashif'
meri aankhon se raushni jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.