aao mil baiThen koi rah nikali jae
aao mil baiTheñ koī raah nikālī jaa.e
ghar kī dīvār girī hai to uThā lī jaa.e
sūkhe phūloñ ko bhī kashkol-e-mohabbat samjho
ḳhūn-e-dil chiḌko koī phuul na ḳhālī jaa.e
dil kī bastī ko basānā koī āsān nahīñ
ye vo duniyā hai ki jab chāhe banā lī jaa.e
koī aahaT na koī chaap na dastak dar par
dil kī dhaḌkan se hī āvāz milā lī jaa.e
baiThe baiThe kabhī aisī bhī ghaḌī aatī hai
maiñ use Tālnā chāhūñ to na Taalī jaa.e
ye to achchhā nahīñ pardes meñ aane vaalo
apnī miTTī se hī pahchān haTā lī jaa.e
aao mil baiThen koi rah nikali jae
ghar ki diwar giri hai to uTha li jae
sukhe phulon ko bhi kashkol-e-mohabbat samjho
KHun-e-dil chiDko koi phul na KHali jae
dil ki basti ko basana koi aasan nahin
ye wo duniya hai ki jab chahe bana li jae
koi aahaT na koi chap na dastak dar par
dil ki dhaDkan se hi aawaz mila li jae
baiThe baiThe kabhi aisi bhi ghaDi aati hai
main use Talna chahun to na Tali jae
ye to achchha nahin pardes mein aane walo
apni miTTi se hi pahchan haTa li jae
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 276)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.