aao phir mil jaen sab baaten purani chhoD kar
aao phir mil jaen sab baaten purani chhoD kar
Hasan Shahnawaz Zaidi
MORE BYHasan Shahnawaz Zaidi
aao phir mil jaa.eñ sab bāteñ purānī chhoḌ kar
jā nahīñ sakte kahīñ dariyā ravānī chhoḌ kar
vo mire kaase meñ yādeñ chhoḌ kar yuuñ chal diyā
jis tarah alfāz jaate hoñ ma.ānī chhoḌ kar
tum mire dil se ga.e ho to nigāhoñ se bhī jaao
phir vahāñ Thahrā nahīñ karte nishānī chhoḌ kar
ab sunā hai aam shahrī kī tarah phirte ho tum
kyā milā hai mere dil kī hukmarānī chhoḌ kar
bas abhī tūfān-e-ġham kā tazkira aayā hī thā
sab gharoñ ko chal diye merī kahānī chhoḌ kar
is tarah mere qabīle meñ kabhī hotā nahīñ
kaise jā.ūñ tere ġham kī mezbānī chhoḌ kar
ye kalām-ul-lāh kab hai jo sadā baaqī rahe
dār-e-fānī se chale haiñ naqsh-e-fānī chhoḌ kar
aao phir mil jaen sab baaten purani chhoD kar
ja nahin sakte kahin dariya rawani chhoD kar
wo mere kase mein yaaden chhoD kar yun chal diya
jis tarah alfaz jate hon maani chhoD kar
tum mere dil se gae ho to nigahon se bhi jao
phir wahan Thahra nahin karte nishani chhoD kar
ab suna hai aam shahri ki tarah phirte ho tum
kya mila hai mere dil ki hukmarani chhoD kar
bas abhi tufan-e-gham ka tazkira aaya hi tha
sab gharon ko chal diye meri kahani chhoD kar
is tarah mere qabile mein kabhi hota nahin
kaise jaun tere gham ki mezbani chhoD kar
ye kalam-ul-lah kab hai jo sada baqi rahe
dar-e-fani se chale hain naqsh-e-fani chhoD kar
- Book : Tamasha (Pg. 76)
- Author : Hassan Shahnawaz Zaidi
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.