aao taqdir ko tadbir bana kar dekhen
aao taqdīr ko tadbīr banā kar dekheñ
in añdheroñ ko ujāloñ se milā kar dekheñ
aaj zālim ko bhī majbūr banā kar dekheñ
hashr se pahle hī ik hashr uThā kar dekheñ
in butoñ se to koī kaam na niklā apnā
ḳhair ab yūñhī sahī yād-e-ḳhudā kar dekheñ
chāñd-tāroñ meñ jo ābād hue jaate haiñ
vo kisī dil meñ bhī ghar apnā banā kar dekheñ
kaun apnā hai yahāñ kaun hai begāna 'ziyā'
dhajjiyāñ ham bhī to dāman kī uḌā kar dekheñ
aao taqdir ko tadbir bana kar dekhen
in andheron ko ujalon se mila kar dekhen
aaj zalim ko bhi majbur bana kar dekhen
hashr se pahle hi ek hashr uTha kar dekhen
in buton se to koi kaam na nikla apna
KHair ab yunhi sahi yaad-e-KHuda kar dekhen
chand-taron mein jo aabaad hue jate hain
wo kisi dil mein bhi ghar apna bana kar dekhen
kaun apna hai yahan kaun hai begana 'ziya'
dhajjiyan hum bhi to daman ki uDa kar dekhen
- Book : Shab Charagh (Pg. 97)
- Author : Bakhtiyar Ziya
- Publication : Markaz-e-adab (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.