aao to kuchh pyar ki baaten karen
aao to kuchh pyaar kī bāteñ kareñ
vasl aur iqrār kī bāteñ kareñ
aa gayā daur-e-ḳhizāñ to kyā huā
andalīb-e-zār kī bāteñ kareñ
chhoḌ kar duniyā ke nazzāroñ kī baat
husn ke dīdār kī bāteñ kareñ
ho chuke haiñ ḳhatm qisse pyaar ke
ab dil-e-bīmār kī bāteñ kareñ
ho gayā hai band mai-ḳhāna to kyā
sāqī-e-jī-dār kī bāteñ karīñ
aao to kuchh pyar ki baaten karen
wasl aur iqrar ki baaten karen
aa gaya daur-e-KHizan to kya hua
andalib-e-zar ki baaten karen
chhoD kar duniya ke nazzaron ki baat
husn ke didar ki baaten karen
ho chuke hain KHatm qisse pyar ke
ab dil-e-bimar ki baaten karen
ho gaya hai band mai-KHana to kya
saqi-e-ji-dar ki baaten karin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.