aap aae to dilkashi aai
aap aa.e to dilkashī aa.ī
lab pe gulshan ke bhī hañsī aa.ī
tum se pahle yahāñ añdherā thā
tum jo aa.e to raushnī aa.ī
Duub jātīñ hayāt kī nabzeñ
un ke aane se zindagī aa.ī
saare aalam kā baḳht raushan hai
merī qismat meñ tīrgī aa.ī
dekh kar mujh ko aaj kyoñ 'aslam'
zindagī ruuTh kar chalī aa.ī
aap aae to dilkashi aai
lab pe gulshan ke bhi hansi aai
tum se pahle yahan andhera tha
tum jo aae to raushni aai
Dub jatin hayat ki nabzen
un ke aane se zindagi aai
sare aalam ka baKHt raushan hai
meri qismat mein tirgi aai
dekh kar mujh ko aaj kyon 'aslam'
zindagi ruTh kar chali aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.