aap aaen to koi baat bane
aap aa.eñ to koī baat bane
gul khilā.eñ to koī baat bane
zindagī phir se gudgudā jaa.e
muskurā.e to koī baat bane
ham ne maanā ki aap ā.eñge
aa bhī jaa.eñ to koī baat bane
vasl kī zindagī bhī hotī hai
ye batā.eñ to koī baat bane
rañj-e-hastī ko ham agar 'ḳhurshīd'
bhuul jaa.eñ to koī baat bane
aap aaen to koi baat bane
gul khilaen to koi baat bane
zindagi phir se gudguda jae
muskurae to koi baat bane
hum ne mana ki aap aaenge
aa bhi jaen to koi baat bane
wasl ki zindagi bhi hoti hai
ye bataen to koi baat bane
ranj-e-hasti ko hum agar 'KHurshid'
bhul jaen to koi baat bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.