aap aankhon mein bas gae jab se
aap āñkhoñ meñ bas ga.e jab se
niiñd se dushmanī huī tab se
aag paanī havā zamīn falak
aur kyā chāhiye batā rab se
pahle lagtā thā vo bhī auroñ sā
dil milā to lagā judā sab se
ho gayā ishq aap se jānam
jab kahā pūchhne lage kab se
shaam hote hī jaam Dhalne lage
hosh meñ bhī milā karo shab se
shubh mahūrat kī raah mat dekho
man meñ Thānī hai to karo ab se
tum akele to ho nahīñ 'nīraj'
zindagī kis kī kaT sakī Dhab se
aap aankhon mein bas gae jab se
nind se dushmani hui tab se
aag pani hawa zamin falak
aur kya chahiye bata rab se
pahle lagta tha wo bhi auron sa
dil mila to laga juda sab se
ho gaya ishq aap se jaanam
jab kaha puchhne lage kab se
sham hote hi jam Dhalne lage
hosh mein bhi mila karo shab se
shubh mahurat ki rah mat dekho
man mein Thani hai to karo ab se
tum akele to ho nahin 'niraj'
zindagi kis ki kaT saki Dhab se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.