Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aap agar mehrban nahin hote

Fahmi Badayuni

aap agar mehrban nahin hote

Fahmi Badayuni

MORE BYFahmi Badayuni

    aap agar mehrbāñ nahīñ hote

    ham jahāñ haiñ vahāñ nahīñ hote

    chāhe jitne buland hoñ bādal

    ye kabhī āsmāñ nahīñ hote

    jin ke bas meñ zabān rahtī hai

    vo kabhī be-zabāñ nahīñ hote

    jo tamāshe pasand haiñ mujh ko

    vo tamāshe yahāñ nahīñ hote

    dasht baat aur hai varna

    qais lailā kahāñ nahīñ hote

    peḌ phaldār kaT ga.e jab se

    baaġh meñ bāġhbāñ nahīñ hote

    dhyān rakkheñ pukārne vaale

    ham jahāñ haiñ vahāñ nahīñ hote

    aap agar mehrban nahin hote

    hum jahan hain wahan nahin hote

    chahe jitne buland hon baadal

    ye kabhi aasman nahin hote

    jin ke bas mein zaban rahti hai

    wo kabhi be-zaban nahin hote

    jo tamashe pasand hain mujh ko

    wo tamashe yahan nahin hote

    dasht ki baat aur hai warna

    qais laila kahan nahin hote

    peD phaldar kaT gae jab se

    bagh mein baghban nahin hote

    dhyan rakkhen pukarne wale

    hum jahan hain wahan nahin hote

    Source :
    • Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 87)
    • Author : Fahmi Badayuni
    • Publication : Rekhta Publications (2022)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now