aap apna jawab hain hum log
aap apnā javāb haiñ ham log
kitne ḳhāna-ḳharāb haiñ ham log
tū hamārī ḳharābiyāñ mat dekh
bas-ki terā shabāb haiñ ham log
kitne naġhme chhupā.e baiThe haiñ
ik shikasta rabāb haiñ ham log
sozish-e-husn-e-yaḳh ke parvarda
ibn-e-jū-e-chanāb haiñ ham log
ham ne duniyā ko raushnī baḳhshī
vaise ġharq-e-sharāb haiñ ham log
sher chāhe 'kiran' na kahte hoñ
shā.iroñ meñ janāb haiñ ham log
aap apna jawab hain hum log
kitne KHana-KHarab hain hum log
tu hamari KHarabiyan mat dekh
bas-ki tera shabab hain hum log
kitne naghme chhupae baiThe hain
ek shikasta rabab hain hum log
sozish-e-husn-e-yaKH ke parwarda
ibn-e-ju-e-chanab hain hum log
hum ne duniya ko raushni baKHshi
waise gharq-e-sharab hain hum log
sher chahe 'kiran' na kahte hon
shairon mein janab hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.