aap apni naqab hai pyare
Interesting Fact
Published in the daily: Hindustan, Khada Parsi, Mumbai, 1949
aap apnī naqāb hai pyāre
ye bhī koī hijāb hai pyāre
naqsh-bar-rū-e-āb hai pyāre
zindagī ik habāb hai pyāre
le ke chal shaiḳh daftar-e-taqvā
aaj roz-e-hisāb hai pyāre
terā husn-o-jamāl kyā kahnā
māhtāb āftāb hai pyāre
kaun jaatā hai dil meñ aa aa kar
har sukūñ iztirāb hai pyāre
husn taqvā-shikan sahī lekin
ishq ḳhāna-ḳharāb hai pyāre
ik sarāpā surūr-o-bad-mastī
aañkh kyā hai sharāb hai pyāre
mere zauq-e-nazar kī rusvā.ī
kis ḳhatā kā itaab hai pyāre
is qadar bhī na 'tāj' itrānā
chaar din kā shabāb hai pyāre
aap apni naqab hai pyare
ye bhi koi hijab hai pyare
naqsh-bar-ru-e-ab hai pyare
zindagi ek habab hai pyare
le ke chal shaiKH daftar-e-taqwa
aaj roz-e-hisab hai pyare
tera husn-o-jamal kya kahna
mahtab aaftab hai pyare
kaun jata hai dil mein aa aa kar
har sukun iztirab hai pyare
husn taqwa-shikan sahi lekin
ishq KHana-KHarab hai pyare
ek sarapa surur-o-bad-masti
aankh kya hai sharab hai pyare
mere zauq-e-nazar ki ruswai
kis KHata ka itab hai pyare
is qadar bhi na 'taj' itrana
chaar din ka shabab hai pyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.