Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aap auron ko kam dekhiye

Sahir Lakhnavi

aap auron ko kam dekhiye

Sahir Lakhnavi

MORE BYSahir Lakhnavi

    aap auroñ ko kam dekhiye

    kaise lagte haiñ ham dekhiye

    shān-e-me.arāj-e-ġham dekhiye

    mere aise karam dekhiye

    maiñ jo chhoḌ aaya us bazm ko

    un āñkheñ bhī nam dekhiye

    un ke chehre tābindagī

    aur zulfoñ pe ḳham dekhiye

    pahle dekh ā.īye har taraf

    phir hamārā sanam dekhiye

    chal diye chhoḌ kar vo hameñ

    ham par aisā sitam dekhiye

    chhoḌye ġhair se dil-lagī

    mas.ala hai aham dekhiye

    ishq meñ haal 'sāhir' mirā

    aap sab mohtaram dekhiye

    aap auron ko kam dekhiye

    kaise lagte hain hum dekhiye

    shan-e-mearaj-e-gham dekhiye

    mere aise karam dekhiye

    main jo chhoD aaya us bazm ko

    un ki aankhen bhi nam dekhiye

    un ke chehre ki tabindagi

    aur zulfon pe KHam dekhiye

    pahle dekh aaiye har taraf

    phir hamara sanam dekhiye

    chal diye chhoD kar wo hamein

    hum par aisa sitam dekhiye

    chhoDye ghair se dil-lagi

    masala hai aham dekhiye

    ishq mein haal 'sahir' mera

    aap sab mohtaram dekhiye

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now