aap baiThen bhi hain aise ke hua kuchh bhi nahin
aap baiThen bhi hain aise ke hua kuchh bhi nahin
Arpit Sharma Arpit
MORE BYArpit Sharma Arpit
aap baiTheñ bhī haiñ aise ke huā kuchh bhī nahīñ
us ke jaane se mire paas rahā kuchh bhī nahīñ
haa.e kyā shaḳhs thā phūloñ meñ gulāboñ kī tarah
ab na jaane kahāñ kaisā hai pata kuchh bhī nahīñ
tum mujhe dekh to sakte ho magar dhyān rahe
merī āñkhoñ meñ hai ab ġham ke sivā kuchh bhī nahīñ
us ne chup rah ke mire saare bharam toḌ diye
boltā maiñ hī rahā us ne kahā kuchh bhī nahīñ
jis ke hone se thā patjhaḌ meñ bahāroñ kā samāñ
na rahā vo to chaman meñ bhī bachā kuchh bhī nahīñ
aap dekho mujhe yuuñ ġhaur se dekho 'arpit'
phir kaho mujh se mohabbat meñ rakhā kuchh bhī nahīñ
aap baiThen bhi hain aise ke hua kuchh bhi nahin
us ke jaane se mere pas raha kuchh bhi nahin
hae kya shaKHs tha phulon mein gulabon ki tarah
ab na jaane kahan kaisa hai pata kuchh bhi nahin
tum mujhe dekh to sakte ho magar dhyan rahe
meri aankhon mein hai ab gham ke siwa kuchh bhi nahin
us ne chup rah ke mere sare bharam toD diye
bolta main hi raha us ne kaha kuchh bhi nahin
jis ke hone se tha patjhaD mein bahaaron ka saman
na raha wo to chaman mein bhi bacha kuchh bhi nahin
aap dekho mujhe yun ghaur se dekho 'arpit'
phir kaho mujh se mohabbat mein rakha kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.