aap bhi ret ka malbus pahan kar dekhen
aap bhī ret kā malbūs pahan kar dekheñ
ham vo pyāse haiñ na sahrā na samundar dekheñ
ik zarā Dher meñ kuuḌe ke bhī chhup kar dekheñ
log hiirā hameñ samjhe haiñ ki patthar dekheñ
ham meñ jo shaḳhs hai us se nahīñ bantī apnī
ab to rahne ke liye aur koī ghar dekheñ
shor be-samt sadāoñ kā kuchh aisā hai ki ham
apne andar kabhī jhāñkeñ kabhī bāhar dekheñ
aap bhi ret ka malbus pahan kar dekhen
hum wo pyase hain na sahra na samundar dekhen
ek zara Dher mein kuDe ke bhi chhup kar dekhen
log hira hamein samjhe hain ki patthar dekhen
hum mein jo shaKHs hai us se nahin banti apni
ab to rahne ke liye aur koi ghar dekhen
shor be-samt sadaon ka kuchh aisa hai ki hum
apne andar kabhi jhanken kabhi bahar dekhen
- Book : Goonj (Pg. 90)
- Author : Aziz Bano Darab Wafa
- Publication : Educational Book House, Aligarah (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.