aap bhi us husn ko ab phul kahiye
aap bhī us husn ko ab phuul kahiye
dekhiye nāzuk badan sab phuul kahiye
lagtī hai qaus-e-quzah aariz pe shabnam
barg-e-gul jaise haiñ vo lab phuul kahiye
phuul se hī hotī hai tamsīl us kī
rashk kartā hai chaman jab phuul kahiye
baat merī aap ab bhī jo na maane
titlī jab chūme use tab phuul kahiye
rāt-rānī ban vo aa.e ḳhvāb meñ phir
mahkī in sāñsoñ ko har shab phuul kahiye
haath meñ us ke 'azal' ne de diyā gul
faisla kariye kise ab phuul kahiye
aap bhi us husn ko ab phul kahiye
dekhiye nazuk badan sab phul kahiye
lagti hai qaus-e-quzah aariz pe shabnam
barg-e-gul jaise hain wo lab phul kahiye
phul se hi hoti hai tamsil us ki
rashk karta hai chaman jab phul kahiye
baat meri aap ab bhi jo na mane
titli jab chume use tab phul kahiye
raat-rani ban wo aae KHwab mein phir
mahki in sanson ko har shab phul kahiye
hath mein us ke 'azal' ne de diya gul
faisla kariye kise ab phul kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.