Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aap-biti ho wo ya koi kahani kahiye

Naseem Fatima Nazar lakhnavi

aap-biti ho wo ya koi kahani kahiye

Naseem Fatima Nazar lakhnavi

MORE BYNaseem Fatima Nazar lakhnavi

    āp-bītī ho vo koī kahānī kahiye

    baat jo kahiye vo urdu zabānī kahiye

    koī dildār to miltā nahīñ hai kis se

    dard-e-dil dard-e-jigar soz-e-nihānī kahiye

    aadmī aadmī ke ḳhuun pyāsā hai yahāñ

    āj-kal ḳhuun ko bahtā huā paanī kahiye

    desh saarī zabānoñ zabāñ hai urdu

    is ko yak-jehtī-e-qaumī nishānī kahiye

    garm bāzār hai ab nafrat o be-zārī

    jins-e-tahzīb-o-sharāfat girānī kahiye

    zulf-o-ruḳhsār-o-ḳhat-o-ḳhāl-o-lab-e-jānāñ

    baat kahiye to ġhazal zabānī kahiye

    vaqt kahtā hai ki nafrat ke parastāroñ se

    ulfat-o-mahr-o-mohabbat kahānī kahiye

    chāñd se baḌh ke vatan ye zamīñ hai us ko

    ḳhushnumā kahiye hasīñ kahiye suhānī kahiye

    sher ban kar jo nikalte haiñ mire dil se 'nazar'

    apne jazbāt ġhazal zabānī kahiye

    aap-biti ho wo ya koi kahani kahiye

    baat jo kahiye wo urdu ki zabani kahiye

    koi dildar to milta hi nahin hai kis se

    dard-e-dil dard-e-jigar soz-e-nihani kahiye

    aadmi aadmi ke KHun ka pyasa hai yahan

    aaj-kal KHun ko bahta hua pani kahiye

    desh ki sari zabanon ki zaban hai urdu

    is ko yak-jehti-e-qaumi ki nishani kahiye

    garm bazar hai ab nafrat o be-zari ka

    jins-e-tahzib-o-sharafat ki girani kahiye

    zulf-o-ruKHsar-o-KHat-o-KHal-o-lab-e-jaanan ki

    baat kahiye to ghazal hi ki zabani kahiye

    waqt kahta hai ki nafrat ke parastaron se

    ulfat-o-mahr-o-mohabbat ki kahani kahiye

    chand se baDh ke watan ki ye zamin hai us ko

    KHushnuma kahiye hasin kahiye suhani kahiye

    sher ban kar jo nikalte hain mere dil se 'nazar'

    apne jazbaat ghazal hi ki zabani kahiye

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now