aap-biti zara suna ai dasht
āp-bītī zarā sunā ai dasht
shahr ko der tak rulā ai dasht
kis ko āvāz duuñ maiñ tere sivā
kaun hai merā āshnā ai dasht
ab to bārish meñ bhī nahīñ hañste
tere peḌoñ ko kyā huā ai dasht
qais ke paaoñ meñ thā raqsāñ jo
vo bagūla kidhar gayā ai dasht
ḳhaak hī ḳhaak ko uḌātī hai
ḳhuub hai terā silsila ai dasht
aap-biti zara suna ai dasht
shahr ko der tak rula ai dasht
kis ko aawaz dun main tere siwa
kaun hai mera aashna ai dasht
ab to barish mein bhi nahin hanste
tere peDon ko kya hua ai dasht
qais ke paon mein tha raqsan jo
wo bagula kidhar gaya ai dasht
KHak hi KHak ko uDati hai
KHub hai tera silsila ai dasht
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.