aap chahen to kya nahin hoga
aap chāheñ to kyā nahīñ hogā
muttasil dūsrā nahīñ hogā
lo talāshī mirī ki ab mujh meñ
dil magar bā-sadā nahīñ hogā
hai judā rañgat-e-hinā bhī to
aap sā par judā nahīñ hogā
apnī kashtī ke pāsbāñ ho tum
jā-ba-jā nā-ḳhudā nahīñ hogā
jaañ luTā kar ye jaan hai zinda
ḳhuub hai alvidā.a nahīñ hogā
vahm-e-zīst-o-savāl-e-mehr-o-vafā
tujh se insāñ adā nahīñ hogā
tum mire paas gar nahīñ hoge
aap 'ahsan' mirā nahīñ hogā
aap chahen to kya nahin hoga
muttasil dusra nahin hoga
lo talashi meri ki ab mujh mein
dil magar ba-sada nahin hoga
hai juda rangat-e-hina bhi to
aap sa par juda nahin hoga
apni kashti ke pasban ho tum
ja-ba-ja na-KHuda nahin hoga
jaan luTa kar ye jaan hai zinda
KHub hai alwidaa nahin hoga
wahm-e-zist-o-sawal-e-mehr-o-wafa
tujh se insan ada nahin hoga
tum mere pas gar nahin hoge
aap 'ahsan' mera nahin hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.