aap dard-e-nihan samajhte hain
aap dard-e-nihāñ samajhte haiñ
ḳhāmushī kī zabāñ samajhte haiñ
dar-haqīqat vo ek sahrā hai
sab jise gulsitāñ samajhte haiñ
lazzat-e-hijr kaisī hotī hai
āshiq-e-nīm-jāñ samajhte haiñ
mere aañsū meñ ġhaur se dekho
sab jinheñ kahkashāñ samajhte haiñ
tere nazdīk fard-e-vāhid hai
ham jise kul jahāñ samajhte haiñ
un se mat kahnā dil kī baat kabhī
jo yaqīñ ko gumāñ samajhte haiñ
hai vo lā-intihā ḳhalā-e-basīt
ham jise āsmāñ samajhte haiñ
koī samjhe na samjhe baat mirī
asadullāh ḳhaañ samajhte haiñ
aap dard-e-nihan samajhte hain
KHamushi ki zaban samajhte hain
dar-haqiqat wo ek sahra hai
sab jise gulsitan samajhte hain
lazzat-e-hijr kaisi hoti hai
aashiq-e-nim-jaan samajhte hain
mere aansu mein ghaur se dekho
sab jinhen kahkashan samajhte hain
tere nazdik fard-e-wahid hai
hum jise kul jahan samajhte hain
un se mat kahna dil ki baat kabhi
jo yaqin ko guman samajhte hain
hai wo la-intiha KHala-e-basit
hum jise aasman samajhte hain
koi samjhe na samjhe baat meri
asadullah KHan samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.