aap dil-jui ki zahmat na uThaen jaen
aap dil-jūī kī zahmat na uThā.eñ jaa.eñ
ro ke baiThā huuñ na ab aur rulā.eñ jaa.eñ
mujh se kyā milnā ki maiñ ḳhud se judā baiThā huuñ
aap aa jaa.eñ mujhe mujh se milā.eñ jaa.eñ
hujra-e-chashm to auroñ ke liye band kiyā
aap to mālik-o-muḳhtār haiñ aa.eñ jaa.eñ
itnā sāñsoñ se ḳhafā huuñ ki nahīñ mānūñgā
log ro ro ke na ab mujh ko manā.eñ jaa.eñ
zindagī tū ne dukāñ khol ke likh rakkhā hai
apne hisse kā koī ranj uThā.eñ jaa.eñ
jā-ba-jā ḳhuun ke chhīñTe haiñ hamāre ghar meñ
kaun sā vird karā.eñ ki balā.eñ jaa.eñ
aur bhī aa.e the darmān-e-mohabbat le kar
aap bhī aa.eñ koī zaḳhm lagā.eñ jaa.eñ
āmad-o-raft ko duniyā.eñ paḌī haiñ 'nayyar'
dil kī bastī ko na bāzār banā.eñ jaa.eñ
aap dil-jui ki zahmat na uThaen jaen
ro ke baiTha hun na ab aur rulaen jaen
mujh se kya milna ki main KHud se juda baiTha hun
aap aa jaen mujhe mujh se milaen jaen
hujra-e-chashm to auron ke liye band kiya
aap to malik-o-muKHtar hain aaen jaen
itna sanson se KHafa hun ki nahin manunga
log ro ro ke na ab mujh ko manaen jaen
zindagi tu ne dukan khol ke likh rakkha hai
apne hisse ka koi ranj uThaen jaen
ja-ba-ja KHun ke chhinTe hain hamare ghar mein
kaun sa wird karaen ki balaen jaen
aur bhi aae the darman-e-mohabbat le kar
aap bhi aaen koi zaKHm lagaen jaen
aamad-o-raft ko duniyaen paDi hain 'nayyar'
dil ki basti ko na bazar banaen jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.