aap dil khol ke be-dad pe be-dad karen
aap dil khol ke be-dad pe be-dad karen
Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi
MORE BYMirza Altaf Husain Alim Lucknowi
aap dil khol ke be-dād pe be-dād kareñ
aur ham zabt se leñ kaam na fariyād kareñ
hashr meñ us kī nazar ho ga.ī nīchī ham se
ho sake jin se vo ab shikva-e-jallād kareñ
kuchh to farmā.iye insāf agar hai koī chiiz
aap ko dil se bhulā.eñ to kise yaad kareñ
dil-e-betāb sañbhaltā hī nahīñ siine meñ
ek mazlūm kī ab aap kuchh imdād kareñ
aaj ik qabr pe 'ālim' ye likhā dekhā thā
sākin-e-gulshan-e-hastī na mujhe yaad kareñ
aap dil khol ke be-dad pe be-dad karen
aur hum zabt se len kaam na fariyaad karen
hashr mein us ki nazar ho gai nichi hum se
ho sake jin se wo ab shikwa-e-jallad karen
kuchh to farmaiye insaf agar hai koi chiz
aap ko dil se bhulaen to kise yaad karen
dil-e-betab sanbhalta hi nahin sine mein
ek mazlum ki ab aap kuchh imdad karen
aaj ek qabr pe 'alim' ye likha dekha tha
sakin-e-gulshan-e-hasti na mujhe yaad karen
- Book : Intekhab-e-Kuliyat Aalim Lucknowi (Pg. 275)
- Author : Mirza Mohammad Yousuf
- Publication : M. R. Publication (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.