aap dil mein mere qiyam karen
aap dil meñ mire qiyām kareñ
ghar bigaḌtā hai intizām kareñ
ā.īye mil ke aise kaam kareñ
aur ūñchā vatan kā naam kareñ
un kī qurbat kī hai mujhe ummīd
jo mujhe duur se salām kareñ
vā'da-e-vasl to kareñ ik baar
aap phir laakh sub.h-o-shām kareñ
baḳht shāyad ba-auj-e-bām aa.e
ek sajda to zer-e-bām kareñ
yā kareñ merī aarzū puurī
yā mirā kaam hī tamām kareñ
us kī āñkhoñ meñ niiñd kyā mā'nā
jis kī āñkhoñ meñ vo qiyām kareñ
ḳhud-ba-ḳhud jins-e-zarf hogī 'aam
faiz-e-mai-ḳhāna aap 'aam kareñ
maiñ hī ghar meñ jo raushnī kar luuñ
phir añdhere kahāñ qiyām kareñ
ab samā'at kā zauq hai kis ko
dil kā qissa na kyoñ tamām kareñ
ḳhud havas se hai pā-ba-jaulāñ 'ishq
aap nāhaq na fikr-e-dām kareñ
bhuul jaate haiñ bolnā yaksar
aap se jab bhī ham-kalām kareñ
ab ye qissa tamām karte haiñ
tā-ba-kai sa'ī-e-nā-tamām kareñ
ham kahāñ aur kahāñ tumhārā vasl
ham aur aisā ḳhayāl-e-ḳhām kareñ
ai 'amar' aa.e haiñ vo mere ghar
kaash shab phir yahāñ qiyām kareñ
aap dil mein mere qiyam karen
ghar bigaDta hai intizam karen
aaiye mil ke aise kaam karen
aur uncha watan ka nam karen
un ki qurbat ki hai mujhe ummid
jo mujhe dur se salam karen
wa'da-e-wasl to karen ek bar
aap phir lakh subh-o-sham karen
baKHt shayad ba-auj-e-baam aae
ek sajda to zer-e-baam karen
ya karen meri aarzu puri
ya mera kaam hi tamam karen
us ki aankhon mein nind kya ma'na
jis ki aankhon mein wo qiyam karen
KHud-ba-KHud jins-e-zarf hogi 'am
faiz-e-mai-KHana aap 'am karen
main hi ghar mein jo raushni kar lun
phir andhere kahan qiyam karen
ab sama'at ka zauq hai kis ko
dil ka qissa na kyon tamam karen
KHud hawas se hai pa-ba-jaulan 'ishq
aap nahaq na fikr-e-dam karen
bhul jate hain bolna yaksar
aap se jab bhi ham-kalam karen
ab ye qissa tamam karte hain
ta-ba-kai sa'i-e-na-tamam karen
hum kahan aur kahan tumhaara wasl
hum aur aisa KHayal-e-KHam karen
ai 'amar' aae hain wo mere ghar
kash shab phir yahan qiyam karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.