aap hain main hun mohabbat ki Dagar hai samne
aap hain main hun mohabbat ki Dagar hai samne
Arvind Sharma Azaan
MORE BYArvind Sharma Azaan
aap haiñ maiñ huuñ mohabbat kī Dagar hai sāmne
sochiye mat ḳhūbsūrat sā safar hai sāmne
aap kī āñkhoñ kā manzar dekh kar lagtā hai yuuñ
jis se maiñ raushan huā huuñ vo qamar hai sāmne
saayā ban ke saath hai vo fāsla phir bhī lage
aisī qurbat meñ bhī duurī kā asar hai sāmne
kyā karūñ us moḌ par ye mas.ala phir aa gayā
ik taraf dar hai ḳhudā kā terā ghar hai sāmne
zabt aisā thā ki patthar ho gayā ye dil mirā
chashm-e-tar huuñ kyūñki merā ham-safar hai sāmne
baat hotī to ye 'ālam kyā se kyā hotā magar
vo bhī chup hai maiñ bhī chup huuñ aur nazar hai sāmne
zor-e-bāzū āzmānā hai agar ab aap ko
haath meñ patthar uThā lo merā sar hai sāmne
jhurriyoñ meñ gum huī bachpan kī sab mā'sūmiyat
'umr bhar kā dekhiye ab vo safar hai sāmne
gaañv lauTā shahr se jab koī bhī apnā na thā
bas vahī ik aam kā būḌhā shajar hai sāmne
aap hain main hun mohabbat ki Dagar hai samne
sochiye mat KHubsurat sa safar hai samne
aap ki aankhon ka manzar dekh kar lagta hai yun
jis se main raushan hua hun wo qamar hai samne
saya ban ke sath hai wo fasla phir bhi lage
aisi qurbat mein bhi duri ka asar hai samne
kya karun us moD par ye masala phir aa gaya
ek taraf dar hai KHuda ka tera ghar hai samne
zabt aisa tha ki patthar ho gaya ye dil mera
chashm-e-tar hun kyunki mera ham-safar hai samne
baat hoti to ye 'alam kya se kya hota magar
wo bhi chup hai main bhi chup hun aur nazar hai samne
zor-e-bazu aazmana hai agar ab aap ko
hath mein patthar uTha lo mera sar hai samne
jhurriyon mein gum hui bachpan ki sab ma'sumiyat
'umr bhar ka dekhiye ab wo safar hai samne
ganw lauTa shahr se jab koi bhi apna na tha
bas wahi ek aam ka buDha shajar hai samne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.