aap hamein kya bhul gae hain
aap hameñ kyā bhuul ga.e haiñ
ham to jiinā bhuul ga.e haiñ
kartā hai kamre kī sadārat
vo jo dupaTTa bhuul ga.e haiñ
ġham kā mustaqbil raushan hai
bachche hañsnā bhuul ga.e haiñ
kal kī tarah phir yaad dilāo
ham kuchh kahnā bhuul ga.e haiñ
aaj usī kī sair kareñge
vo jo duniyā bhuul ga.e haiñ
un ko manzil DhūñD hī legī
ghar kā rasta bhuul ga.e haiñ
un sāzoñ ko toḌ hī deñge
ham jo bajānā bhuul ga.e haiñ
un ko bhūlne kī koshish meñ
jaane kyā kyā bhuul ga.e haiñ
tum se bāteñ karne vaale
bāteñ karnā bhuul ga.e haiñ
aap hamein kya bhul gae hain
hum to jina bhul gae hain
karta hai kamre ki sadarat
wo jo dupaTTa bhul gae hain
gham ka mustaqbil raushan hai
bachche hansna bhul gae hain
kal ki tarah phir yaad dilao
hum kuchh kahna bhul gae hain
aaj usi ki sair karenge
wo jo duniya bhul gae hain
un ko manzil DhunD hi legi
ghar ka rasta bhul gae hain
un sazon ko toD hi denge
hum jo bajaana bhul gae hain
un ko bhulne ki koshish mein
jaane kya kya bhul gae hain
tum se baaten karne wale
baaten karna bhul gae hain
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 20)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.