aap hi dil hain aur nazar hain aap
aap hī dil haiñ aur nazar haiñ aap
maiñ ne dekhā jidhar udhar haiñ aap
manzileñ ḳhud hī ho ga.iiñ āsāñ
maiñ huuñ raahī to rāhbar haiñ aap
donoñ aalam kī sair kartā huuñ
har-nafas mere ham-safar haiñ aap
kyā añdhere Darā.eñge mujh ko
sāmne mere jalva-gar haiñ aap
duniyā vaale jo muskurāte haiñ
kyā mohabbat kī raah par haiñ aap
chāñd taare salām karte haiñ
raat din mere ham-safar haiñ aap
sab ko apnī tarah samajh baiThe
bā-ḳhabar ho ke be-ḳhabar haiñ aap
girne vāloñ ko thaam lete haiñ
dard-mandoñ ke chārāgar haiñ aap
ye kashish hai 'zamīr' ulfat kī
ham jidhar ho ga.e udhar haiñ aap
aap hi dil hain aur nazar hain aap
main ne dekha jidhar udhar hain aap
manzilen KHud hi ho gain aasan
main hun rahi to rahbar hain aap
donon aalam ki sair karta hun
har-nafas mere ham-safar hain aap
kya andhere Daraenge mujh ko
samne mere jalwa-gar hain aap
duniya wale jo muskuraate hain
kya mohabbat ki rah par hain aap
chand tare salam karte hain
raat din mere ham-safar hain aap
sab ko apni tarah samajh baiThe
ba-KHabar ho ke be-KHabar hain aap
girne walon ko tham lete hain
dard-mandon ke chaaragar hain aap
ye kashish hai 'zamir' ulfat ki
hum jidhar ho gae udhar hain aap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.