aap hi fan ka parastar samajhte hain mujhe
aap hī fan kā parastār samajhte haiñ mujhe
varna ye log to fankār samajhte haiñ mujhe
uljhaneñ le ke chale aate haiñ bastī ke makīñ
kitne nādāñ haiñ samajhdār samajhte haiñ mujhe
sar paTakte haiñ mire siine pe sab rote hue
rone vaale koī dīvār samajhte haiñ mujhe
mere chup rahne pe patthar mujhe kahne vaale
mere rone pe adākār samajhte haiñ mujhe
dhuup niklegī to un sab ke bharam TūTeñge
ye jo sab sāya-e-dīvār samajhte haiñ mujhe
haañ maiñ bīmār huuñ par ġham mujhe is baat kā hai
ghar ke sab log bhī bīmār samajhte haiñ mujhe
mujh ko is sīm-zada shahr meñ rahnā hai jahāñ
sab mohabbat kā gunahgār samajhte haiñ mujhe
aap hi fan ka parastar samajhte hain mujhe
warna ye log to fankar samajhte hain mujhe
uljhanen le ke chale aate hain basti ke makin
kitne nadan hain samajhdar samajhte hain mujhe
sar paTakte hain mere sine pe sab rote hue
rone wale koi diwar samajhte hain mujhe
mere chup rahne pe patthar mujhe kahne wale
mere rone pe adakar samajhte hain mujhe
dhup niklegi to un sab ke bharam TuTenge
ye jo sab saya-e-diwar samajhte hain mujhe
han main bimar hun par gham mujhe is baat ka hai
ghar ke sab log bhi bimar samajhte hain mujhe
mujh ko is sim-zada shahr mein rahna hai jahan
sab mohabbat ka gunahgar samajhte hain mujhe
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 17)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.