aap hi ke dam se hai tanwir-e-ishq
aap hī ke dam se hai tanvīr-e-ishq
dar-haqīqat aap haiñ tasvīr-e-ishq
zindagānī meñ use rāhat kahāñ
jis kā dil barmā gayā ho tīr-e-ishq
maut zindāñ se chhuḌā.egī hameñ
TūTne vaalī nahīñ zanjīr-e-ishq
ham zamāne bhar meñ rusvā ho ga.e
aur kyā hogī bhalā ta.azīr-e-ishq
lag rahī hai aag rag rag meñ 'naresh'
kis qayāmat kī hai ye tāsīr-e-ishq
aap hi ke dam se hai tanwir-e-ishq
dar-haqiqat aap hain taswir-e-ishq
zindagani mein use rahat kahan
jis ka dil barma gaya ho tir-e-ishq
maut zindan se chhuDaegi hamein
TuTne wali nahin zanjir-e-ishq
hum zamane bhar mein ruswa ho gae
aur kya hogi bhala tazir-e-ishq
lag rahi hai aag rag rag mein 'naresh'
kis qayamat ki hai ye tasir-e-ishq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.