aap ek bosa nahin dete KHuda ke waste
aap ik bosa nahīñ dete ḳhudā ke vāste
log sar de Dālte haiñ āshnā ke vāste
ik adā darkār hai qātil fazā ke vāste
zindagānī maut hai ahl-e-vafā ke vāste
jaan detā hai butān-e-be-vafā ke vāste
koī samjhā.e mire dil ko ḳhudā ke vāste
ek din barbād hogā jism misl-e-gard-bād
ḳhaak uḌānā khel bād-e-sabā ke vāste
daaġh khāte haiñ tirī zulfoñ ke saudā.ī mudām
mushk duniyā meñ nahīñ miltā davā ke vāste
tū jo mere ustuḳhvāñ khātā nahīñ dīvāna hai
ai sag-e-jānāñ sa.ādat hai humā ke vāste
ḳhāksārī kar safā-e-qalb agar manzūr hai
ḳhaak meñ miltā hai ā.īna jilā ke vāste
kuchh javāb-e-nāma-o-paiġhām to detā nahīñ
ai sanam dete haiñ paiġhambar ḳhudā ke vāste
surma manzūr-e-nazar kis chashm ko ai 'arsh' hai
tautiyā hote haiñ patthar tautiyā ke vāste
aap ek bosa nahin dete KHuda ke waste
log sar de Dalte hain aashna ke waste
ek ada darkar hai qatil faza ke waste
zindagani maut hai ahl-e-wafa ke waste
jaan deta hai butan-e-be-wafa ke waste
koi samjhae mere dil ko KHuda ke waste
ek din barbaad hoga jism misl-e-gard-baad
KHak uDana khel baad-e-saba ke waste
dagh khate hain teri zulfon ke saudai mudam
mushk duniya mein nahin milta dawa ke waste
tu jo mere ustuKHwan khata nahin diwana hai
ai sag-e-jaanan saadat hai huma ke waste
KHaksari kar safa-e-qalb agar manzur hai
KHak mein milta hai aaina jila ke waste
kuchh jawab-e-nama-o-paigham to deta nahin
ai sanam dete hain paighambar KHuda ke waste
surma manzur-e-nazar kis chashm ko ai 'arsh' hai
tautiya hote hain patthar tautiya ke waste
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.