aap jab bhi aa gae aisa laga
aap jab bhī aa ga.e aisā lagā
āsmāñ qadmoñ se mere aa lagā
dard kā sangīt bhī mīThā lagā
jo bhī dil ko chhū gayā achchhā lagā
jaane kyoñ duniyā kā dard apnā lagā
ham ko dushman bhī hamīñ jaisā lagā
husn kī nīchī nigāheñ dekh kar
ishq kā sar āsmāñ se jā lagā
āḳhir apnā desh apnā desh hai
pyaar se dekhā jise apnā lagā
god ke bachche meñ maañ kā nuur hai
jis ne dekhā aa.ina kā taarā lagā
kyoñ nahīñ 'fayyāz' tujh ko qadr-e-dil
achchhe achchhoñ ko to dil achchhā lagā
aap jab bhi aa gae aisa laga
aasman qadmon se mere aa laga
dard ka sangit bhi miTha laga
jo bhi dil ko chhu gaya achchha laga
jaane kyon duniya ka dard apna laga
hum ko dushman bhi hamin jaisa laga
husn ki nichi nigahen dekh kar
ishq ka sar aasman se ja laga
aaKHir apna desh apna desh hai
pyar se dekha jise apna laga
god ke bachche mein man ka nur hai
jis ne dekha aaina ka tara laga
kyon nahin 'fayyaz' tujh ko qadr-e-dil
achchhe achchhon ko to dil achchha laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.