aap jab bhi qarib aate hain
aap jab bhī qarīb aate haiñ
dar-o-dīvār mahk jaate haiñ
jab se dekhā hai aap ko ham ne
aap ke hī ḳhayāl aate haiñ
arsh par chāñd jab nahīñ hotā
kab sitāre ye jagmagāte haiñ
aur bhī log haiñ zamāne meñ
bas hameñ aap hī to bhāte haiñ
pyaar meñ ye dikhā diyā ham ne
pyaar karte haiñ to nibhāte haiñ
ye 'salīm' aap kā thā aap kā hai
log yūñhī to ḳhaar khāte haiñ
aap jab bhi qarib aate hain
dar-o-diwar mahk jate hain
jab se dekha hai aap ko hum ne
aap ke hi KHayal aate hain
arsh par chand jab nahin hota
kab sitare ye jagmagate hain
aur bhi log hain zamane mein
bas hamein aap hi to bhate hain
pyar mein ye dikha diya hum ne
pyar karte hain to nibhate hain
ye 'salim' aap ka tha aap ka hai
log yunhi to KHar khate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.