aap jab muskurae ghazal ho gai
aap jab muskurā.e ġhazal ho ga.ī
kuchh qarīb aur aa.e ġhazal ho ga.ī
toḌ kar apne gulshan se taaza gulāb
merī ḳhātir vo laa.e ġhazal ho ga.ī
lab pe fariyād to dil meñ sau iztirāb
ashk āñkhoñ meñ aa.e ġhazal ho ga.ī
vaa.e mahrūmiyāñ haa.e majbūriyāñ
dard-e-dil meñ dabā.e ġhazal ho ga.ī
maiñ ne pūchhā mohabbat unheñ mujh se hai
chup rahe muskurā.e ġhazal ho ga.ī
jab bhī añgḌā.ī tauba-shikan koī le
ek fitna uThā.e ġhazal ho ga.ī
dil meñ 'ḳhushtar' jo armāñ the so.e hue
ḳhūb-rū ik jagā.e ġhazal ho ga.ī
aap jab muskurae ghazal ho gai
kuchh qarib aur aae ghazal ho gai
toD kar apne gulshan se taza gulab
meri KHatir wo lae ghazal ho gai
lab pe fariyaad to dil mein sau iztirab
ashk aankhon mein aae ghazal ho gai
wae mahrumiyan hae majburiyan
dard-e-dil mein dabae ghazal ho gai
main ne puchha mohabbat unhen mujh se hai
chup rahe muskurae ghazal ho gai
jab bhi angDai tauba-shikan koi le
ek fitna uThae ghazal ho gai
dil mein 'KHushtar' jo arman the soe hue
KHub-ru ek jagae ghazal ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.