aap jo humse bane rahte hain anjaan bahut
aap jo humse bane rahte hain anjaan bahut
Abdus Sami Siddiqui Naeem
MORE BYAbdus Sami Siddiqui Naeem
aap jo ham se bane rahte haiñ anjān bahut
aise meñ pyaar ke baḌh jaate haiñ imkān bahut
mujh ko Dar hai ki bichhaḌne kī ghaḌī aa.ī hai
āj-kal vo mujhe kahtā hai mirī jaan bahut
us kā dā'vā hai ki fan ye use virse meñ milā
she'r-goī pe hamārī hai vo hairān bahut
vo basārat se basīrat kī taraf jaatā hai
chūmtā rahtā hai āñkhoñ se jo juzdān bahut
raam kar lete the ham us ko ġhazal kah ke 'na’īm'
kyā kareñ ab to ġhazal bhī hai musalmān bahut
aap jo hum se bane rahte hain anjaan bahut
aise mein pyar ke baDh jate hain imkan bahut
mujh ko Dar hai ki bichhaDne ki ghaDi aai hai
aaj-kal wo mujhe kahta hai meri jaan bahut
us ka da'wa hai ki fan ye use wirse mein mila
she'r-goi pe hamari hai wo hairan bahut
wo basarat se basirat ki taraf jata hai
chumta rahta hai aankhon se jo juzdan bahut
ram kar lete the hum us ko ghazal kah ke 'na’im'
kya karen ab to ghazal bhi hai musalman bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.