aap ka ehtiram karta hun
aap kā ehtirām kartā huuñ
dil se ye ehtimām kartā huuñ
dil ko apne tire tasavvur se
rashk-e-māh-e-tamām kartā huuñ
jabr-e-ġham kī ye bandisheñ tauba
ḳhud ko pāband-e-dām kartā huuñ
ho ba-har-nafs jazba-e-īsār
is qarīne ko 'aam kartā huuñ
us kā kūcha hai is liye 'in'ām'
tauf-e-bait-ul-harām kartā huuñ
aap ka ehtiram karta hun
dil se ye ehtimam karta hun
dil ko apne tere tasawwur se
rashk-e-mah-e-tamam karta hun
jabr-e-gham ki ye bandishen tauba
KHud ko paband-e-dam karta hun
ho ba-har-nafs jazba-e-isar
is qarine ko 'am karta hun
us ka kucha hai is liye 'in'am'
tauf-e-bait-ul-haram karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.