aap ka intiKHab phulon ka
aap kā intiḳhāb phūloñ kā
tohfa-e-lā-javāb phūloñ kā
us pe patthar jidhar se bhī aa.e
us ne bhejā javāb phūloñ kā
us kī ḳhushbū se sab hue mahzūz
jo thā ik āftāb phūloñ kā
aap ko dekh kar huā mahsūs
aap haiñ yā shabāb phūloñ kā
tere chehre pe jo tabassum hai
khil gayā jaise baab phūloñ kā
phuul sā chehra phuul sī bāñheñ
us pe Daalā naqāb phūloñ kā
baat phūloñ kī jab chalī hai 'matīn'
bun lo ik tum bhī ḳhvāb phūloñ kā
aap ka intiKHab phulon ka
tohfa-e-la-jawab phulon ka
us pe patthar jidhar se bhi aae
us ne bheja jawab phulon ka
us ki KHushbu se sab hue mahzuz
jo tha ek aaftab phulon ka
aap ko dekh kar hua mahsus
aap hain ya shabab phulon ka
tere chehre pe jo tabassum hai
khil gaya jaise bab phulon ka
phul sa chehra phul si banhen
us pe Dala naqab phulon ka
baat phulon ki jab chali hai 'matin'
bun lo ek tum bhi KHwab phulon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.